sham-e-gham aankhon se aansu aastin par gir paDe
shām-e-ġham āñkhoñ se aañsū āstīñ par gir paḌe
yā ki the dāman meñ kuchh motī zamīñ par gir paḌe
pī ke ham bairūn-e-mai-ḳhāna zamīñ par gir paḌe
ham ko girnā thā kahīñ aur ham kahīñ par gir paḌe
sū-e-manzil tez-gāmī thī ki thā vahshat kā josh
kyā ḳhabar ham kab baḌhe aur kab zamīñ par gir paḌe
koī kyā jaane ki ye husn-e-ḳhirad hai yā ḳhirad
un kā sang-e-dar samajh kar ham zamīñ par gir paḌe
āshiyāñ tak bhī na pahuñchne the qafas se chhuT ke ham
gir paḌe 'hasrat' kahīñ baazū kahīñ par gir paḌe
sham-e-gham aankhon se aansu aastin par gir paDe
ya ki the daman mein kuchh moti zamin par gir paDe
pi ke hum bairun-e-mai-KHana zamin par gir paDe
hum ko girna tha kahin aur hum kahin par gir paDe
su-e-manzil tez-gami thi ki tha wahshat ka josh
kya KHabar hum kab baDhe aur kab zamin par gir paDe
koi kya jaane ki ye husn-e-KHirad hai ya KHirad
un ka sang-e-dar samajh kar hum zamin par gir paDe
aashiyan tak bhi na pahunchne the qafas se chhuT ke hum
gir paDe 'hasrat' kahin bazu kahin par gir paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.