sham-e-gham bimar ke dil par wo ban aai ki bas
shām-e-ġham bīmār ke dil par vo ban aa.ī ki bas
har taraf tārīkiyāñ aur aisī tanhā.ī ki bas
dil kī barbādī kā afsāna abhī chheḌā hī thā
anjuman meñ har taraf se ik sadā aa.ī ki bas
un kī āñkhoñ meñ jo ashk aa.e to yuuñ aa.e ki uf
un ke hoñToñ par hañsī aa.ī to yuuñ aa.ī ki bas
umr-bhar ke vāste chup ho gayā bīmār-e-ġham
aap ne kī bhī to kī aisī masīhā.ī ki bas
kyā kaheñ 'rāhī' ki apnoñ se hameñ kyā kyā milā
vo navāzish vo karam vo izzat-afzā.ī ki bas
sham-e-gham bimar ke dil par wo ban aai ki bas
har taraf tarikiyan aur aisi tanhai ki bas
dil ki barbaadi ka afsana abhi chheDa hi tha
anjuman mein har taraf se ek sada aai ki bas
un ki aankhon mein jo ashk aae to yun aae ki uf
un ke honTon par hansi aai to yun aai ki bas
umr-bhar ke waste chup ho gaya bimar-e-gham
aap ne ki bhi to ki aisi masihai ki bas
kya kahen 'rahi' ki apnon se hamein kya kya mila
wo nawazish wo karam wo izzat-afzai ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.