sham-e-gham hai teri yaadon ko saja rakkha hai
shām-e-ġham hai tirī yādoñ ko sajā rakkhā hai
maiñ ne dānista charāġhoñ ko bujhā rakkhā hai
aur kyā duuñ maiñ gulistāñ se mohabbat kā subūt
maiñ ne kāñToñ ko bhī palkoñ pe sajā rakkhā hai
jaane kyuuñ barq ko is samt tavajjoh hī nahīñ
maiñ ne har tarah nasheman ko sajā rakkhā hai
zindagī sāñsoñ kā taptā huā sahrā hī sahī
maiñ ne is ret pe ik qasr banā rakkhā hai
vo mire sāmne dulhan kī tarah baiThe haiñ
ḳhvāb achchhā hai magar ḳhvāb meñ kyā rakkhā hai
ḳhud sunātā hai unheñ merī mohabbat ke ḳhutūt
phir bhī qāsid ne mirā naam chhupā rakkhā hai
kuchh na kuchh talḳhi-e-hālāt hai shāmil 'razmī'
tum ne phūloñ se bhī dāman jo bachā rakkhā hai
sham-e-gham hai teri yaadon ko saja rakkha hai
main ne danista charaghon ko bujha rakkha hai
aur kya dun main gulistan se mohabbat ka subut
main ne kanTon ko bhi palkon pe saja rakkha hai
jaane kyun barq ko is samt tawajjoh hi nahin
main ne har tarah nasheman ko saja rakkha hai
zindagi sanson ka tapta hua sahra hi sahi
main ne is ret pe ek qasr bana rakkha hai
wo mere samne dulhan ki tarah baiThe hain
KHwab achchha hai magar KHwab mein kya rakkha hai
KHud sunata hai unhen meri mohabbat ke KHutut
phir bhi qasid ne mera nam chhupa rakkha hai
kuchh na kuchh talKHi-e-haalat hai shamil 'razmi'
tum ne phulon se bhi daman jo bacha rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.