sham-e-gham ki qasam aaj ghamgin hain hum aa bhi ja aa bhi ja aaj mere sanam
sham-e-gham ki qasam aaj ghamgin hain hum aa bhi ja aa bhi ja aaj mere sanam
Majrooh Sultanpuri
MORE BYMajrooh Sultanpuri
shām-e-ġham kī qasam aaj ġhamgīñ haiñ ham aa bhī jā aa bhī jā aaj mere sanam
dil pareshān hai raat vīrān hai dekh jā kis tarah aaj tanhā haiñ ham
chain kaisā jo pahlū meñ tū hī nahīñ maar Daale na dard-e-judā.ī kahīñ
rut hasīñ hai to kyā chāñdnī hai to kyā chāñdnī zulm hai aur judā.ī sitam
ab to aa jā ki ab raat bhī so ga.ī zindagī ġham ke sahrāoñ meñ kho ga.ī
DhūñDhtī hai nazar tū kahāñ hai magar dekhte dekhte aaya āñkhoñ meñ dam
sham-e-gham ki qasam aaj ghamgin hain hum aa bhi ja aa bhi ja aaj mere sanam
dil pareshan hai raat viran hai dekh ja kis tarah aaj tanha hain hum
chain kaisa jo pahlu mein tu hi nahin mar Dale na dard-e-judai kahin
rut hasin hai to kya chandni hai to kya chandni zulm hai aur judai sitam
ab to aa ja ki ab raat bhi so gai zindagi gham ke sahraon mein kho gai
DhunDhti hai nazar tu kahan hai magar dekhte dekhte aaya aankhon mein dam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.