sham-e-gham ki sahar na ho jae
sham-e-gham ki sahar na ho jae
Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi
MORE BYShiv Ratan Lal Barq Punchhwi
shām-e-ġham kī sahar na ho jaa.e
har ḳhushī muḳhtasar na ho jaa.e
aah dil par asar na ho jaa.e
un kī bhī aañkh tar na ho jaa.e
rāz-e-ulfat sambhāl kar rakhiye
har koī bā-ḳhabar na ho jaa.e
hijr meñ dil kā dil-shikan aalam
jo idhar hai udhar na ho jaa.e
zikr-e-takmīl-e-ārzū chheḌo
raat yūñhī basar na ho jaa.e
mujh pe itnā karam na farmāo
merā ġham mo'tabar na ho jaa.e
sham-e-gham ki sahar na ho jae
har KHushi muKHtasar na ho jae
aah dil par asar na ho jae
un ki bhi aankh tar na ho jae
raaz-e-ulfat sambhaal kar rakhiye
har koi ba-KHabar na ho jae
hijr mein dil ka dil-shikan aalam
jo idhar hai udhar na ho jae
zikr-e-takmil-e-arzu chheDo
raat yunhi basar na ho jae
mujh pe itna karam na farmao
mera gham mo'tabar na ho jae
- Book : Barq-o-Sharar (Pg. 43)
- Author : Dr. Barq Poonchvi
- Publication : Swaraj Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.