sham-e-gham ki sahar nahin aati
shām-e-ġham kī sahar nahīñ aatī
raushnī mere ghar nahīñ aatī
aadmī to dikhā.ī dete haiñ
ādamiyyat nazar nahīñ aatī
us taraf hai guzar basar kaisī
kuchh adam se ḳhabar nahīñ aatī
guzrī saa.at kā intizār na kar
vo kabhī lauT kar nahīñ aatī
maiñ banā huuñ kuchh aisī miTTī se
dard meñ aañkh bhar nahīñ aatī
sham-e-gham ki sahar nahin aati
raushni mere ghar nahin aati
aadmi to dikhai dete hain
aadamiyyat nazar nahin aati
us taraf hai guzar basar kaisi
kuchh adam se KHabar nahin aati
guzri saat ka intizar na kar
wo kabhi lauT kar nahin aati
main bana hun kuchh aisi miTTi se
dard mein aankh bhar nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.