sham-e-gham yaad hai kab shama jali yaad nahin
shām-e-ġham yaad hai kab sham.a jalī yaad nahīñ
kab vo ruḳhsat hue kab raat Dhalī yaad nahīñ
dil se bahte hue paanī kī sadā guzrī thī
kab dhuñdlakā huā kab naav chalī yaad nahīñ
ThanDe mausam meñ pukārā koī ham aate haiñ
jis meñ ham khel rahe the vo galī yaad nahīñ
in mazāfāt meñ chhup chhup ke havā chaltī thī
kaise khiltī thī mohabbat kī kalī yaad nahīñ
jism-o-jāñ Duub ga.e ḳhvāb-e-farāmoshī meñ
ab koī baat burī ho ki bhalī yaad nahīñ
sham-e-gham yaad hai kab shama jali yaad nahin
kab wo ruKHsat hue kab raat Dhali yaad nahin
dil se bahte hue pani ki sada guzri thi
kab dhundlaka hua kab naw chali yaad nahin
ThanDe mausam mein pukara koi hum aate hain
jis mein hum khel rahe the wo gali yaad nahin
in mazafat mein chhup chhup ke hawa chalti thi
kaise khilti thi mohabbat ki kali yaad nahin
jism-o-jaan Dub gae KHwab-e-faramoshi mein
ab koi baat buri ho ki bhali yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.