sham-e-ghurbat jo sar-e-subh-e-watan TuTti hai
shām-e-ġhurbat jo sar-e-sub.h-e-vatan TūTtī hai
dekh ke tujh ko nigāhoñ kī thakan TūTtī hai
hañstā rahtā huuñ ki chhup jaa.eñ tire ġham ke nuqūsh
ḳhanda-e-lab se jabīnoñ kī shikan TūTtī hai
pā-ba-jaulāñ rah-e-pur-ḳhār pe chalne vāloñ
koī din aur ki kāñToñ kī chubhan TūTtī hai
ishq-e-sānī meñ hai ma.ashūq-e-guzishta kā ḳhayāl
vaslat-e-nau pas-e-hijrān-e-kuhan TūTtī hai
guftugū lams bhī kartā hai sar-e-ḳhalvat-e-shab
ḳhāmushī bar-sar-e-mizrāb-e-badan TūTtī hai
sham-e-ghurbat jo sar-e-subh-e-watan TuTti hai
dekh ke tujh ko nigahon ki thakan TuTti hai
hansta rahta hun ki chhup jaen tere gham ke nuqush
KHanda-e-lab se jabinon ki shikan TuTti hai
pa-ba-jaulan rah-e-pur-KHar pe chalne walon
koi din aur ki kanTon ki chubhan TuTti hai
ishq-e-sani mein hai mashuq-e-guzishta ka KHayal
waslat-e-nau pas-e-hijran-e-kuhan TuTti hai
guftugu lams bhi karta hai sar-e-KHalwat-e-shab
KHamushi bar-sar-e-mizrab-e-badan TuTti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.