sham hone ko hai ghar jate hain
shaam hone ko hai ghar jaate haiñ
ab bulandī se utar jaate haiñ
zindagī sāmne mat aaya kar
ham tujhe dekh ke Dar jaate haiñ
ḳhvāb kyā dekheñ thake-hāre log
aise sote haiñ ki mar jaate haiñ
phuul bhī rahtā nahīñ Tahnī par
shaam tak ham bhī bikhar jaate haiñ
ek din laḌte hue duniyā se
log duniyā se guzar jaate haiñ
ab na vo hai na galī hai us kī
kyā batā.eñ ki kidhar jaate haiñ
band hai yā khulī hai vo khiḌkī
ab binā dekhe guzar jaate haiñ
raat marham liye aatī hai 'shakīl'
aur ham zaḳhm se bhar jaate haiñ
sham hone ko hai ghar jate hain
ab bulandi se utar jate hain
zindagi samne mat aaya kar
hum tujhe dekh ke Dar jate hain
KHwab kya dekhen thake-haare log
aise sote hain ki mar jate hain
phul bhi rahta nahin Tahni par
sham tak hum bhi bikhar jate hain
ek din laDte hue duniya se
log duniya se guzar jate hain
ab na wo hai na gali hai us ki
kya bataen ki kidhar jate hain
band hai ya khuli hai wo khiDki
ab bina dekhe guzar jate hain
raat marham liye aati hai 'shakil'
aur hum zaKHm se bhar jate hain
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 56)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.