Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham hone wali thi jab wo mujhse bichhDa tha zindagi ki rahon mein

Zubair Rizvi

sham hone wali thi jab wo mujhse bichhDa tha zindagi ki rahon mein

Zubair Rizvi

MORE BYZubair Rizvi

    shaam hone vaalī thī jab vo mujh se bichhḌā thā zindagī rāhoñ meñ

    sub.h jab maiñ jaagā thā vo jo mujh se bichhḌā thā so rahā thā bāhoñ meñ

    mai-kade meñ sab ke sab jaam haath meñ le kar dostoñ meñ baiThe the

    duur log masjid meñ rab ko yaad karte the dil bārgāhoñ meñ

    vo zamīñ ke shahzāde tiir aur kamāñ le kar jañgaloñ meñ phirte the

    ik hiran jo zaḳhmī thā dauḌtā huā aayā rādhikā bāhoñ meñ

    ham pale charāġhoñ meñ raushnī se rishta thā nuur ham meñ rahtā thā

    chāñd le ke vo nikle jin ko ham ne dekhā thā zulmatoñ bāhoñ meñ

    auratoñ āñkhoñ par kaale kaale chashme the sab sab barahana thiiñ

    zāhidoñ ne jab dekhā sāhiloñ ye manzar likh diyā gunāhoñ meñ

    ham ne ahd-e-vustā ke saare tāj-dāroñ yādgāreñ dekhī haiñ

    taaj sab meñ yaktā hai aur shāhjahāñ tanhā saare bādshāhoñ meñ

    sham hone wali thi jab wo mujh se bichhDa tha zindagi ki rahon mein

    subh jab main jaga tha wo jo mujh se bichhDa tha so raha tha bahon mein

    mai-kade mein sab ke sab jam hath mein le kar doston mein baiThe the

    dur log masjid mein rab ko yaad karte the dil ki bargahon mein

    wo zamin ke shahzade tir aur kaman le kar jangalon mein phirte the

    ek hiran jo zaKHmi tha dauDta hua aaya radhika ki bahon mein

    hum pale charaghon mein raushni se rishta tha nur hum mein rahta tha

    chand le ke wo nikle jin ko hum ne dekha tha zulmaton ki bahon mein

    auraton ki aankhon par kale kale chashme the sab ki sab barahana thin

    zahidon ne jab dekha sahilon ka ye manzar likh diya gunahon mein

    hum ne ahd-e-wusta ke sare taj-daron ki yaadgaren dekhi hain

    taj sab mein yakta hai aur shahjahan tanha sare baadshahon mein

    Source :
    • Book : Sang-ge-Sada (Pg. 259)
    • Author : Zubair Razvi
    • Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
    • Edition : 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now