sham hote hi ghar gae honge
shaam hote hī ghar ga.e hoñge
vo jo zinda the mar ga.e hoñge
koī āvāra ab kahāñ hogā
vo jo din the guzar ga.e hoñge
jo shanāvar the ab jazīroñ par
thak ke saare Thahar ga.e hoñge
koī qātil bhī ab nahīñ hogā
zaḳhm jitne the bhar ga.e hoñge
maiñ ye samjhā thā kuchh junūñ chehre
dasht meñ phir ubhar ga.e hoñge
kab Thaharte haiñ ḳhvāb āñkhoñ meñ
sub.h-dam kuuch kar ga.e hoñge
dukh zamāne ke phir kahāñ jaate
mere dil meñ utar ga.e hoñge
chhaT chukī hogī dhuul yādoñ kī
qāfile sab guzar ga.e hoñge
diip tū ne jalā.e kyoñ āḳhir
sab ujāloñ se Dar ga.e hoñge
naam us ne mirā liyā hogā
sab ke chehre utar ga.e hoñge
sham hote hi ghar gae honge
wo jo zinda the mar gae honge
koi aawara ab kahan hoga
wo jo din the guzar gae honge
jo shanawar the ab jaziron par
thak ke sare Thahar gae honge
koi qatil bhi ab nahin hoga
zaKHm jitne the bhar gae honge
main ye samjha tha kuchh junun chehre
dasht mein phir ubhar gae honge
kab Thaharte hain KHwab aankhon mein
subh-dam kuch kar gae honge
dukh zamane ke phir kahan jate
mere dil mein utar gae honge
chhaT chuki hogi dhul yaadon ki
qafile sab guzar gae honge
dip tu ne jalae kyon aaKHir
sab ujalon se Dar gae honge
nam us ne mera liya hoga
sab ke chehre utar gae honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.