sham hoti hai to yaad aati hai sari baaten
shaam hotī hai to yaad aatī hai saarī bāteñ
vo dopahroñ kī ḳhamoshī vo hamārī bāteñ
āñkheñ kholūñ to dikhā.ī nahīñ detā koī
band kartā huuñ to ho jaatī haiñ jaarī bāteñ
kabhī ik harf nikaltā nahīñ muñh se mere
kabhī ik saañs meñ kar jaatā huuñ saarī bāteñ
jaane kis ḳhaak meñ poshīda haiñ aañsū mere
kin fazāoñ meñ muallaq haiñ tumhārī bāteñ
kis mulāqāt kī ummīd liye baiThā huuñ
maiñ ne kis din pe uThā rakkhī haiñ saarī bāteñ
sham hoti hai to yaad aati hai sari baaten
wo dopahron ki KHamoshi wo hamari baaten
aankhen kholun to dikhai nahin deta koi
band karta hun to ho jati hain jari baaten
kabhi ek harf nikalta nahin munh se mere
kabhi ek sans mein kar jata hun sari baaten
jaane kis KHak mein poshida hain aansu mere
kin fazaon mein muallaq hain tumhaari baaten
kis mulaqat ki ummid liye baiTha hun
main ne kis din pe uTha rakkhi hain sari baaten
- Book : Auraaq-e-Khezani (Pg. 47)
- Author : Ahmad Mushtaq
- Publication : Rekhta Foundation (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.