sham hoti rahi sae Dhalte rahe
shaam hotī rahī saa.e Dhalte rahe
baiThe chaukhaT pe ham haath malte rahe
hijr kī zulmatoñ meñ maiñ Duubā rahā
diip yādoñ ke sab yūñhī jalte rahe
jo bhī sochā thā kuchh vo kahā na gayā
kitne armān dil meñ machalte rahe
apnā rastā na thā apnī manzil na thī
aap kī khoj meñ phir bhī chalte rahe
mere hālāt thoḌe se kyā Dhal ga.e
rang saare jahāñ ke badalte rahe
zindagī ek aisā tamāshā banī
dil zamāne ke jis se bahalte rahe
tum se 'dīpak' zabāñ bhī na badlī ga.ī
log chehre hazāroñ badalte rahe
sham hoti rahi sae Dhalte rahe
baiThe chaukhaT pe hum hath malte rahe
hijr ki zulmaton mein main Duba raha
dip yaadon ke sab yunhi jalte rahe
jo bhi socha tha kuchh wo kaha na gaya
kitne arman dil mein machalte rahe
apna rasta na tha apni manzil na thi
aap ki khoj mein phir bhi chalte rahe
mere haalat thoDe se kya Dhal gae
rang sare jahan ke badalte rahe
zindagi ek aisa tamasha bani
dil zamane ke jis se bahalte rahe
tum se 'dipak' zaban bhi na badli gai
log chehre hazaron badalte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.