sham hui ghar lauTi yaaden suraj-rup tarashun kaise
shaam huī ghar lauTī yādeñ sūraj-rūp tarāshūñ kaise
ek ujālā laakh añdhere is ko sab meñ bāñTūñ kaise
ThiThurī chāhat laavā jazbe hijr-mashaqqat bas se bāhar
dil-charḳhe par suut tumhārī yādoñ kā maiñ kātūñ kaise
banjar rāteñ bāñjh savere bojhal raste uljhī manzil
din jīvan ke ab tere bin kāTūñ to phir kāTūñ kaise
ujḌe mausam pighle manzar TuuTe ḳhvāb āshufta lahje
thoḌī sāñseñ bojh maiñ itnā in kāñdhoñ par lādūñ kaise
surḳh ujāle sūkhe paanī ugtī dhuup aur martī chhāñv
tapte sahrā chubhte patthar in rastoñ par bhāgūñ kaise
maiñ to rūkhī-sūkhī tujh ko jaan se pyāre de saktā huuñ
shaal pe terī chāñd sitāre maiñ bechāra Tāñkūñ kaise
sham hui ghar lauTi yaaden suraj-rup tarashun kaise
ek ujala lakh andhere is ko sab mein banTun kaise
ThiThuri chahat lawa jazbe hijr-mashaqqat bas se bahar
dil-charKHe par sut tumhaari yaadon ka main katun kaise
banjar raaten banjh sawere bojhal raste uljhi manzil
din jiwan ke ab tere bin kaTun to phir kaTun kaise
ujDe mausam pighle manzar TuTe KHwab aashufta lahje
thoDi sansen bojh main itna in kandhon par ladun kaise
surKH ujale sukhe pani ugti dhup aur marti chhanw
tapte sahra chubhte patthar in raston par bhagun kaise
main to rukhi-sukhi tujh ko jaan se pyare de sakta hun
shaal pe teri chand sitare main bechaara Tankun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.