sham-jazire KHwab-ujale pyare pyare raushan raushan
shām-jazīre ḳhvāb-ujāle pyāre pyāre raushan raushan
dard-shajar sab badan-kināre pyāre pyāre raushan raushan
tum se bichhaḌ kar jān-e-jahāñ ham dīvāroñ meñ qaid hue
chaar qadam vo saath tumhāre pyāre pyāre raushan raushan
terī ḳhātir le aayā maiñ sab pyaar gagan kī tasvīreñ
jhilmil karte chāñd sitāre pyāre pyāre raushan raushan
kis ko ḳhabar hai kab kab ham ne un se dil kī jot jagā.ī
duur dahakte do angāre pyāre pyāre raushan raushan
chāñd kī bāteñ pyaar ke naġhme vo sab āñgan shor hue
dil kī bastī aur dukhiyāre pyāre pyāre raushan raushan
kaun mujhe ye le aaya hai shahr ke andhe galiyāroñ meñ
merī galī ke sab añdhiyāre pyāre pyāre raushan raushan
us kī aañkh ke kājal kī ham raat añdherī kaaT chuke
duur gagan par shoḳh ishāre pyāre pyāre raushan raushan
kyā vo havā thī biich bhañvar meñ dukh kī nayyā le aa.ī
bahtī nadī meñ shauq-sitāre pyāre pyāre raushan raushan
ḳhvāb ke is ghanghor nagar meñ kis se milne jaate ho
dekho vo haiñ qadam hamāre pyāre pyāre raushan raushan
kis kī zālim chaap ne 'ajmal' hans kā joḌā uḌā diyā
lagte the vo nadī kināre pyāre pyāre raushan raushan
sham-jazire KHwab-ujale pyare pyare raushan raushan
dard-shajar sab badan-kinare pyare pyare raushan raushan
tum se bichhaD kar jaan-e-jahan hum diwaron mein qaid hue
chaar qadam wo sath tumhaare pyare pyare raushan raushan
teri KHatir le aaya main sab pyar gagan ki taswiren
jhilmil karte chand sitare pyare pyare raushan raushan
kis ko KHabar hai kab kab hum ne un se dil ki jot jagai
dur dahakte do angare pyare pyare raushan raushan
chand ki baaten pyar ke naghme wo sab aangan shor hue
dil ki basti aur dukhiyare pyare pyare raushan raushan
kaun mujhe ye le aaya hai shahr ke andhe galiyaron mein
meri gali ke sab andhiyare pyare pyare raushan raushan
us ki aankh ke kajal ki hum raat andheri kaT chuke
dur gagan par shoKH ishaare pyare pyare raushan raushan
kya wo hawa thi bich bhanwar mein dukh ki nayya le aai
bahti nadi mein shauq-sitare pyare pyare raushan raushan
KHwab ke is ghanghor nagar mein kis se milne jate ho
dekho wo hain qadam hamare pyare pyare raushan raushan
kis ki zalim chap ne 'ajmal' hans ka joDa uDa diya
lagte the wo nadi kinare pyare pyare raushan raushan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.