sham jo dekhi raat samajh li
shaam jo dekhī raat samajh lī
binā batā.e baat samajh lī
maiñ ne apnī baat kahī thī
tum ne apnī baat samajh lī
haT gayā tūfāñ ḳhud hī pīchhe
jab apnī auqāt samajh lī
dekhtī rah ga.ī āñkheñ shāyad
dil ne dil kī baat samajh lī
kaT gayā ġham kaise mat pūchho
bas us kī sauġhāt samajh lī
ho gayā chup kyoñ rone vaalā
hijr kī shāyad raat samajh lī
jī bhar ke royā huuñ 'saran' jab
kyā shai hai barsāt samajh lī
sham jo dekhi raat samajh li
bina batae baat samajh li
main ne apni baat kahi thi
tum ne apni baat samajh li
haT gaya tufan KHud hi pichhe
jab apni auqat samajh li
dekhti rah gai aankhen shayad
dil ne dil ki baat samajh li
kaT gaya gham kaise mat puchho
bas us ki saughat samajh li
ho gaya chup kyon rone wala
hijr ki shayad raat samajh li
ji bhar ke roya hun 'saran' jab
kya shai hai barsat samajh li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.