sham ka manzar uljha rasta ek kahani tu aur main
shaam kā manzar uljhā rasta ek kahānī tū aur maiñ
Dhaltā sūraj baḌhtā saaya kashtī-rānī tū aur maiñ
band ik kamra chup kā manzar bhūlī-bisrī dīpak yaad
tanhā.ī dukh ḳhauf kī lazzat dilbar-e-jānī tū aur maiñ
titlī ḳhushbū rañg kī bāteñ shabnam se sharmīle ḳhvāb
aas kā panchhī gum-sum ḳhvāhish rāt-kī-rānī tū aur maiñ
palkeñ chilman sharmā-sharmī kam kam goyā nazreñ qurb
rātoñ jaisī sīdhī-sādī ik nādānī tū aur maiñ
raat ghanerī ghor ghaTā.eñ sāvan sī barsāt 'alī'
yaad kā panchhī vaqt-e-āḳhir aañkh meñ paanī tū aur maiñ
sham ka manzar uljha rasta ek kahani tu aur main
Dhalta suraj baDhta saya kashti-rani tu aur main
band ek kamra chup ka manzar bhuli-bisri dipak yaad
tanhai dukh KHauf ki lazzat dilbar-e-jaani tu aur main
titli KHushbu rang ki baaten shabnam se sharmile KHwab
aas ka panchhi gum-sum KHwahish raat-ki-rani tu aur main
palken chilman sharma-sharmi kam kam goya nazren qurb
raaton jaisi sidhi-sadi ek nadani tu aur main
raat ghaneri ghor ghaTaen sawan si barsat 'ali'
yaad ka panchhi waqt-e-aKHir aankh mein pani tu aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.