sham ka rang jo gahra hua aaine mein
shaam kā rang jo gahrā huā ā.īne meñ
ik sitāra sā chamakne lagā ā.īne meñ
sab khilaunoñ kī tarah TuuT rahe haiñ pal-pal
aur ye manzar mujhe Dastā huā ā.īne meñ
gardish-e-vaqt sañbhalne nahīñ detī mujh ko
silsila TūTtā bantā rahā ā.īne meñ
dekh kar lahroñ kī shorīda-sarī yaad aaya
ek chehra kabhī dekhā huā ā.īne meñ
us kī āñkhoñ meñ utarte hue mahsūs huā
ik na.e shahr kā rasta milā ā.īne meñ
aa.ina dekh ke kyoñ chīḳhte rahte ho 'matīn'
kyā koī aur hai baiThā huā ā.īne meñ
sham ka rang jo gahra hua aaine mein
ek sitara sa chamakne laga aaine mein
sab khilaunon ki tarah TuT rahe hain pal-pal
aur ye manzar mujhe Dasta hua aaine mein
gardish-e-waqt sanbhalne nahin deti mujh ko
silsila TuTta banta raha aaine mein
dekh kar lahron ki shorida-sari yaad aaya
ek chehra kabhi dekha hua aaine mein
us ki aankhon mein utarte hue mahsus hua
ek nae shahr ka rasta mila aaine mein
aaina dekh ke kyon chiKHte rahte ho 'matin'
kya koi aur hai baiTha hua aaine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.