sham kajlai hui raat abhagan jaisi
shaam kajlā.ī huī raat abhāgan jaisī
rut nahīñ aatī kisī gaañv meñ sāvan jaisī
rañg Tesū meñ khile haiñ tirī chunarī kī tarah
ban meñ phūloñ kī mahak hai tire āñgan jaisī
us kī āvāz meñ hai saat suroñ kā sañgīt
baat bhī vo kare to bajtī hai jhāñjhan jaisī
raat kī vaishyā laakh āñkhoñ meñ kājal paare
sub.h maañg apnī sajā.egī suhāgan jaisī
ek pal bichhḌeñ to lagtā hai yugoñ kā ban-bās
aur jab tak na mileñ rahtī hai uljhan jaisī
tū alag rūThī huī hai vo alag rūThā huā
gorī kis baat pe sājan se hai an-ban jaisī
aañch sī lagtī hai pahlū meñ tirī sāñsoñ kī
ghaav par ThanDī havā hai tire dāman jaisī
mirī āñkhoñ meñ dil-āvez samāñ hai 'ishrat'
phūloñ par os kī har buuñd hai darpan jaisī
sham kajlai hui raat abhagan jaisi
rut nahin aati kisi ganw mein sawan jaisi
rang Tesu mein khile hain teri chunari ki tarah
ban mein phulon ki mahak hai tere aangan jaisi
us ki aawaz mein hai sat suron ka sangit
baat bhi wo kare to bajti hai jhanjhan jaisi
raat ki waishya lakh aankhon mein kajal pare
subh mang apni sajaegi suhagan jaisi
ek pal bichhDen to lagta hai yugon ka ban-bas
aur jab tak na milen rahti hai uljhan jaisi
tu alag ruThi hui hai wo alag ruTha hua
gori kis baat pe sajan se hai an-ban jaisi
aanch si lagti hai pahlu mein teri sanson ki
ghaw par ThanDi hawa hai tere daman jaisi
meri aankhon mein dil-awez saman hai 'ishrat'
phulon par os ki har bund hai darpan jaisi
- Book : Aasman Saiyban (Poetry) (Pg. 54)
- Author : Ishrat Qadri
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.