sham ke maddham ujalon mein wo Dar ka jagna
shaam ke maddham ujāloñ meñ vo Dar kā jāgnā
merī qismat meñ likhā hai umr-bhar kā jāgnā
ḳhāmushī se zulm kā kab ho sakā hai ehtijāj
dekhnā baaqī hai ab sū-e-nagar kā jāgnā
jab bhī vāpas lauTtā huuñ dekhtā huuñ maiñ faqat
ek tanhā shaam ke saa.e meñ ghar kā jāgnā
kaash dekhā hotā tum ne mere chehre par kabhī
raah taktī duur tak bebas nazar kā jāgnā
ziist kā hissa hai ab ḳhāmoshiyoñ ke darmiyāñ
saath mere ghar kī in dīvār-o-dar kā jāgnā
aañkh khulte hī vo aksar dekhte haiñ chupke se
dhaḌkanoñ ke shor meñ ik be-ḳhabar kā jāgnā
yaad hai vo sardiyoñ kī narm rāteñ aur phir
chaa.e kī vo chuskiyāñ le kar sahar kā jāgnā
sham ke maddham ujalon mein wo Dar ka jagna
meri qismat mein likha hai umr-bhar ka jagna
KHamushi se zulm ka kab ho saka hai ehtijaj
dekhna baqi hai ab su-e-nagar ka jagna
jab bhi wapas lauTta hun dekhta hun main faqat
ek tanha sham ke sae mein ghar ka jagna
kash dekha hota tum ne mere chehre par kabhi
rah takti dur tak bebas nazar ka jagna
zist ka hissa hai ab KHamoshiyon ke darmiyan
sath mere ghar ki in diwar-o-dar ka jagna
aankh khulte hi wo aksar dekhte hain chupke se
dhaDkanon ke shor mein ek be-KHabar ka jagna
yaad hai wo sardiyon ki narm raaten aur phir
chae ki wo chuskiyan le kar sahar ka jagna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.