sham ke peD ki surmai shaKH par pattiyon mein chhupa koi jugnu bhi hai

sham ke peD ki surmai shaKH par pattiyon mein chhupa koi jugnu bhi hai
Bashir Badr
MORE BYBashir Badr
shaam ke peḌ kī surma.ī shāḳh par pattiyoñ meñ chhupā koī jugnū bhī hai
sāhiloñ par paḌī sīpiyoñ meñ kahīñ jhilmilātā huā ek aañsū bhī hai
āñdhiyāñ raakh ke Dher letī ga.iiñ chamkīñ chingāriyāñ koñpaloñ kī tarah
in dinoñ zindagī phir hamāre liye sub.h-e-āriz bhī hai shām-e-gesū bhī hai
is pahāḌī ilāqe meñ ik gaañv ke moḌ par aatī jaatī basoñ ke liye
do daraḳhtoñ kī mushfiq ghanī chhāñv meñ garm chaa.e kī mānūs ḳhushbū bhī hai
in nahāte parindoñ ke hamrāh ab maiñ bhī ākāsh sar par uThā lā.ūñgā
naddiyoñ meñ nahā kar thakan dhul ga.ī kuchh daraḳhtoñ kī bāñhoñ kā jaadū bhī hai
mere dushman mirī justujū meñ abhī is kamīñ-gāh ko aag dikhlā.eñge
ab ye behtar hai maiñ ḳhud hī aage baḌhūñ jhāḌiyoñ meñ yahāñ ek aahū bhī hai
sham ke peD ki surmai shaKH par pattiyon mein chhupa koi jugnu bhi hai
sahilon par paDi sipiyon mein kahin jhilmilata hua ek aansu bhi hai
aandhiyan rakh ke Dher leti gain chamkin chingariyan konpalon ki tarah
in dinon zindagi phir hamare liye subh-e-ariz bhi hai sham-e-gesu bhi hai
is pahaDi ilaqe mein ek ganw ke moD par aati jati bason ke liye
do daraKHton ki mushfiq ghani chhanw mein garm chae ki manus KHushbu bhi hai
in nahate parindon ke hamrah ab main bhi aakash sar par uTha launga
naddiyon mein naha kar thakan dhul gai kuchh daraKHton ki banhon ka jadu bhi hai
mere dushman meri justuju mein abhi is kamin-gah ko aag dikhlaenge
ab ye behtar hai main KHud hi aage baDhun jhaDiyon mein yahan ek aahu bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.