sham ke sath jala ek diya aahista
shaam ke saath jalā ek diyā āhista
bujh na jaa.e kahīñ ai bād-e-sabā āhista
yād-e-ayyām kī talḳhī bhī milī hai us meñ
jaam hoñToñ se lagāo to zarā āhista
zaḳhm hī zaḳhm hai sar-tā-ba-qadam jism mirā
phuuT jā.ūñ na kahīñ dast-e-havā āhista
ba.ad muddat ke abhī aañkh lagī hai ġham kī
koī nauha koī naġhma ki sadā āhista
TuuT jaa.eñ na kahīñ zaḳhm-e-jigar ke Tāñke
ai masīhā zarā takmīl-e-vafā āhista
maslahat-kesh ḳharābe meñ shu.ūr-e-hastī
jurm āhista abhī harf-e-jafā āhista
ḳhvāb kī vādī-e-gulnār se jaagī 'husnā'
koī detā hai mujhe jaise sadā āhista
sham ke sath jala ek diya aahista
bujh na jae kahin ai baad-e-saba aahista
yaad-e-ayyam ki talKHi bhi mili hai us mein
jam honTon se lagao to zara aahista
zaKHm hi zaKHm hai sar-ta-ba-qadam jism mera
phuT jaun na kahin dast-e-hawa aahista
baad muddat ke abhi aankh lagi hai gham ki
koi nauha koi naghma ki sada aahista
TuT jaen na kahin zaKHm-e-jigar ke Tanke
ai masiha zara takmil-e-wafa aahista
maslahat-kesh KHarabe mein shuur-e-hasti
jurm aahista abhi harf-e-jafa aahista
KHwab ki wadi-e-gulnar se jagi 'husna'
koi deta hai mujhe jaise sada aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.