sham ki dhund se ek husn ne jhanka to koi nazm hoi
shaam kī dhuñd se ik husn ne jhāñkā to koī nazm hoī
bas-ki phir ġham vahī ik ġham jo ḳhush aayā to koī nazm hoī
dil-e-be-tāb mohabbat kī malāmat kā amiiñ Dar sā gayā
rah badalnā kabhī us shaḳhs ne chāhā to koī nazm hoī
kis kā saaya thā kaḌī dhuup meñ ik aur alaav kā bayāñ
kaun thā zaḳhm mirā mujh ko dikhāyā to koī nazm hui
vaqt ke dīda-e-be-rahm ko ma.alūm thā kyā chhīnā hai
ḳhālī hāthoñ ko bharī aañkh se dekhā to koī nazm hoī
ḳhvāb kī titlī ke TuuTe hue par aur bikharte hue rañg
is kamā.ī kā kabhī sadqa utārā to koī nazm hoī
sham ki dhund se ek husn ne jhanka to koi nazm hoi
bas-ki phir gham wahi ek gham jo KHush aaya to koi nazm hoi
dil-e-be-tab mohabbat ki malamat ka amin Dar sa gaya
rah badalna kabhi us shaKHs ne chaha to koi nazm hoi
kis ka saya tha kaDi dhup mein ek aur alaw ka bayan
kaun tha zaKHm mera mujh ko dikhaya to koi nazm hui
waqt ke dida-e-be-rahm ko malum tha kya chhina hai
KHali hathon ko bhari aankh se dekha to koi nazm hoi
KHwab ki titli ke TuTe hue par aur bikharte hue rang
is kamai ka kabhi sadqa utara to koi nazm hoi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.