sham ki rah dekhta hun main
shaam kī raah dekhtā huuñ maiñ
ek jaltā huā diyā huuñ maiñ
terā kahnā ki bevafā huuñ maiñ
apnī nazroñ se gir gayā huuñ maiñ
maiñ tumheñ ghar pe mil nahīñ saktā
ḳhud se milne kahīñ chalā huuñ maiñ
mat samajh mujh ko mohsin-e-girdāb
ek kashtī kā nā-ḳhudā huuñ maiñ
terī manzil hai rāsta merā
yaad rakh terā rahnumā huuñ maiñ
saarī maḳhlūq mujh pe hairāñ hai
kuchh farishtoñ kā ratjagā huuñ maiñ
ek būḌhā shajar ye kahtā hai
kuchh parindoñ kā aasrā huuñ maiñ
merī golī ġhalat lagī tum ko
dushmanoñ se nahīñ milā huuñ maiñ
sāqiyā qā.ede sikhā mujh ko
mai-kade meñ abhī nayā huuñ maiñ
jitne tere haiñ chāhne vaale
yaad rakh sab se hī sivā huuñ meñ
aable paañv meñ to haiñ 'farhat'
phir bhī manzil tak aa gayā huuñ maiñ
sham ki rah dekhta hun main
ek jalta hua diya hun main
tera kahna ki bewafa hun main
apni nazron se gir gaya hun main
main tumhein ghar pe mil nahin sakta
KHud se milne kahin chala hun main
mat samajh mujh ko mohsin-e-girdab
ek kashti ka na-KHuda hun main
teri manzil hai rasta mera
yaad rakh tera rahnuma hun main
sari maKHluq mujh pe hairan hai
kuchh farishton ka ratjaga hun main
ek buDha shajar ye kahta hai
kuchh parindon ka aasra hun main
meri goli ghalat lagi tum ko
dushmanon se nahin mila hun main
saqiya qaede sikha mujh ko
mai-kade mein abhi naya hun main
jitne tere hain chahne wale
yaad rakh sab se hi siwa hun mein
aable panw mein to hain 'farhat'
phir bhi manzil tak aa gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.