sham ko ghar lauT ke ji bhar ke pachhtate rahe
sham ko ghar lauT ke ji bhar ke pachhtate rahe
Nusrat Ateeq Gorakhpur
MORE BYNusrat Ateeq Gorakhpur
shaam ko ghar lauT ke jī bhar ke pachhtāte rahe
kal ke chakkar meñ ham apne aaj se jaate rahe
zindagī kā aur koī pahlū nazar aaya nahīñ
kuchh nayā karne kī dhun meñ ḳhud ko dohrāte rahe
jo jahāñ jaise thā vo vaise kā vaisā hī rahā
mere jaise saikḌoñ aate rahe jaate rahe
dard kuchh itnā ziyāda thā ke saarī zindagī
dard hī likhte rahe aur dard hī gaate rahe
ye masīhā haiñ nahīñ ye sab ke sab jarrāh haiñ
aap kin logoñ ko apne zaḳhm dikhlāte rahe
us ne patthar hī chalā.e ham pe 'nusrat' rāt-din
jis kī rāhoñ meñ sadā ham phuul barsāte rahe
sham ko ghar lauT ke ji bhar ke pachhtate rahe
kal ke chakkar mein hum apne aaj se jate rahe
zindagi ka aur koi pahlu nazar aaya nahin
kuchh naya karne ki dhun mein KHud ko dohraate rahe
jo jahan jaise tha wo waise ka waisa hi raha
mere jaise saikDon aate rahe jate rahe
dard kuchh itna ziyaada tha ke sari zindagi
dard hi likhte rahe aur dard hi gate rahe
ye masiha hain nahin ye sab ke sab jarrah hain
aap kin logon ko apne zaKHm dikhlate rahe
us ne patthar hi chalae hum pe 'nusrat' raat-din
jis ki rahon mein sada hum phul barsate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.