sham ko subh ki aur subh ko hai sham ki baat
shaam ko sub.h kī aur sub.h ko hai shaam kī baat
kaise nādāñ haiñ vo karte hī nahīñ kaam kī baat
jab kiyā karte haiñ ham sāqī-e-gulfām kī baat
lab pe aa jaatī hai aksar dil-e-nākām kī baat
Dhalte sūraj ko dikhāyā to kabhī gul kī hayāt
ham se is tarah se kī husn ke anjām kī baat
nafrat-o-buġhz-o-ta.assub ke alāva tum se
aaj tak ho na sakī koī kabhī kaam kī baat
jalte shahroñ kā dhuāñ āñkhoñ meñ ghūmā aksar
yaad aa.ī hai jo guzre hue ayyām kī baat
jo bahāroñ kī latāfat ko samajhte hī na hoñ
un se sayyād kare kyoñ qafas-o-dām kī baat
hai zarūrat ki mohabbat kā sabaq deñ sab ko
aao ham mil ke kareñ azmat-e-islām kī baat
kaun sā jurm hai farmā.eñ zamāne vaale
tishna-lab karte haiñ saaqī se agar jaam kī baat
ranj rāhat se badalte to maza aa jaatā
mahfil-e-aish meñ hotī ġham-o-ālām kī baat
ḳhuub dozaḳh se Darātā hai gunahgāroñ ko
lab pe vaa.iz ke nahīñ hai karam-e-ām kī baat
be-dhaḌak 'josh' vo baḌhte rahe manzil kī taraf
qāfile vāloñ ne sochī nahīñ anjām kī baat
sham ko subh ki aur subh ko hai sham ki baat
kaise nadan hain wo karte hi nahin kaam ki baat
jab kiya karte hain hum saqi-e-gulfam ki baat
lab pe aa jati hai aksar dil-e-nakaam ki baat
Dhalte suraj ko dikhaya to kabhi gul ki hayat
hum se is tarah se ki husn ke anjam ki baat
nafrat-o-bughz-o-tassub ke alawa tum se
aaj tak ho na saki koi kabhi kaam ki baat
jalte shahron ka dhuan aankhon mein ghuma aksar
yaad aai hai jo guzre hue ayyam ki baat
jo bahaaron ki latafat ko samajhte hi na hon
un se sayyaad kare kyon qafas-o-dam ki baat
hai zarurat ki mohabbat ka sabaq den sab ko
aao hum mil ke karen azmat-e-islam ki baat
kaun sa jurm hai farmaen zamane wale
tishna-lab karte hain saqi se agar jam ki baat
ranj rahat se badalte to maza aa jata
mahfil-e-aish mein hoti gham-o-alam ki baat
KHub dozaKH se Daraata hai gunahgaron ko
lab pe waiz ke nahin hai karam-e-am ki baat
be-dhaDak 'josh' wo baDhte rahe manzil ki taraf
qafile walon ne sochi nahin anjam ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.