shaam se aañkh meñ namī sī hai
aaj phir aap kī kamī sī hai
dafn kar do hameñ ki saañs aa.e
nabz kuchh der se thamī sī hai
kaun pathrā gayā hai āñkhoñ meñ
barf palkoñ pe kyuuñ jamī sī hai
vaqt rahtā nahīñ kahīñ Tik kar
aadat is kī bhī aadmī sī hai
aa.iye rāste alag kar leñ
ye zarūrat bhī bāhamī sī hai
sham se aankh mein nami si hai
aaj phir aap ki kami si hai
dafn kar do hamein ki sans aae
nabz kuchh der se thami si hai
kaun pathra gaya hai aankhon mein
barf palkon pe kyun jami si hai
waqt rahta nahin kahin Tik kar
aadat is ki bhi aadmi si hai
aaiye raste alag kar len
ye zarurat bhi bahami si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.