sham se milne gaya to raat ne Thahra liya
shaam se milne gayā to raat ne Thahrā liyā
jaane kaise chāñd ne sūraj ko bhī bahkā liyā
ham ne chup kyā saadh lī har shaḳhs kī har baat par
phir huā jitnā bhī jis se us ne bas taḌpā liyā
maanā ik uljhe hue resham sā ham meñ rabt thā
jab sulajh paayā na thā to aur kyuuñ uljhā liyā
kuchh ne lī hai hukmarānī aur vilāyat kuchh ne lī
ham ne 'hāmid' tum ko paane vaalā bas kaasa liyā
sham se milne gaya to raat ne Thahra liya
jaane kaise chand ne suraj ko bhi bahka liya
hum ne chup kya sadh li har shaKHs ki har baat par
phir hua jitna bhi jis se us ne bas taDpa liya
mana ek uljhe hue resham sa hum mein rabt tha
jab sulajh paya na tha to aur kyun uljha liya
kuchh ne li hai hukmarani aur wilayat kuchh ne li
hum ne 'hamid' tum ko pane wala bas kasa liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.