sham se pahle ghar gae hote
shaam se pahle ghar ga.e hote
yā sar-e-shām mar ga.e hote
is gadāyāna zindagī se to
vaz.a-dārāna mar ga.e hote
yuuñ bhī ik umr rā.egāñ guzrī
yuuñ bhī kuchh din guzar ga.e hote
tū jo dil se utar gayā hotā
zaḳhm dil ke ubhar ga.e hote
ham na hote to hādsāt-e-jahāñ
jaane kis kis ke sar ga.e hote
koī dāman-kash-e-ḳhayāl na thā
varna ham bhī Thahar ga.e hote
sham-e-mahfil na the ki mahfil meñ
le ke ham zaḳhm-e-sar ga.e hote
sham se pahle ghar gae hote
ya sar-e-sham mar gae hote
is gadayana zindagi se to
waza-darana mar gae hote
yun bhi ek umr raegan guzri
yun bhi kuchh din guzar gae hote
tu jo dil se utar gaya hota
zaKHm dil ke ubhar gae hote
hum na hote to hadsat-e-jahan
jaane kis kis ke sar gae hote
koi daman-kash-e-KHayal na tha
warna hum bhi Thahar gae hote
sham-e-mahfil na the ki mahfil mein
le ke hum zaKHm-e-sar gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.