sham se zid par aDe hain
shaam se zid par aḌe haiñ
ḳhvāb palkoñ par khaḌe haiñ
ye shikan-ālūd bistar
niiñd ke TukḌe paḌe haiñ
raat kī kaalī ridā meñ
qīmtī motī jaḌe haiñ
raat bhar pāgal havā se
ghar ke darvāze laḌe haiñ
ho sake to sar jhukā le
vaqt ke tevar kaḌe haiñ
sham se zid par aDe hain
KHwab palkon par khaDe hain
ye shikan-alud bistar
nind ke TukDe paDe hain
raat ki kali rida mein
qimti moti jaDe hain
raat bhar pagal hawa se
ghar ke darwaze laDe hain
ho sake to sar jhuka le
waqt ke tewar kaDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.