sham tak band rahta hai kamra mera
shaam tak band rahtā hai kamra mirā
aur kamre meñ tanhā khilaunā mirā
din ko ujlī ridā oḌh letā huuñ maiñ
dekhnā raat ko phir tamāshā mirā
sach kahā thā sabhī mujh se nārāz haiñ
ab kisī se nahīñ rishta-nāta mirā
apne sheroñ pe mujh ko baḌā faḳhr hai
jaane kyā gul khilā.egā charchā mirā
do baras kā huuñ tifl-e-kitābī 'ġhanī'
ho gayā kitnā bhārī hai basta mirā
sham tak band rahta hai kamra mera
aur kamre mein tanha khilauna mera
din ko ujli rida oDh leta hun main
dekhna raat ko phir tamasha mera
sach kaha tha sabhi mujh se naraaz hain
ab kisi se nahin rishta-nata mera
apne sheron pe mujh ko baDa faKHr hai
jaane kya gul khilaega charcha mera
do baras ka hun tifl-e-kitabi 'ghani'
ho gaya kitna bhaari hai basta mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.