sham tak meri bekali hai sharab
shaam tak merī bekalī hai sharāb
shaam ko merī sarḳhushī hai sharāb
jahl-e-vā.iz kā is ko raas aa.e
sāhibo merī āgahī hai sharāb
rañg-ras hai merī ragoñ meñ ravāñ
ba-ḳhudā merī zindagī hai sharāb
naaz hai apnī dilbarī pe mujhe
merā dil merī dilbarī hai sharāb
hai ġhanīmat jo hosh meñ nahīñ maiñ
shaiḳh tujh ko bachā rahī hai sharāb
his jo hotī to jaane kyā kartā
muftiyoñ merī be-hisī hai sharāb
sham tak meri bekali hai sharab
sham ko meri sarKHushi hai sharab
jahl-e-waiz ka is ko ras aae
sahibo meri aagahi hai sharab
rang-ras hai meri ragon mein rawan
ba-KHuda meri zindagi hai sharab
naz hai apni dilbari pe mujhe
mera dil meri dilbari hai sharab
hai ghanimat jo hosh mein nahin main
shaiKH tujh ko bacha rahi hai sharab
his jo hoti to jaane kya karta
muftiyon meri be-hisi hai sharab
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 135)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.