shamil-e-karwan to hum bhi hain
shāmil-e-kārvāñ to ham bhī haiñ
terī jānib ravāñ to ham bhī hai
ye haqīqat nahīñ to phir kyā hai
ya.anī vahm-o-gumāñ to ham bhī haiñ
bār-e-hijrat saroñ pe hai apne
itne be-ḳhānumāñ to ham bhī haiñ
kah rahe haiñ ḳhizāñ zada chehre
ai bahāro yahāñ to ham bhī haiñ
sach na maano to jhuuT hī kah lo
ik ruḳh-e-dāstāñ to ham bhī haiñ
ham ko ḳhāk-e-rah-e-safar mat jaan
ai zamīñ āsmāñ to ham bhī haiñ
sirf ma.anī kī vus.ateñ hī nahīñ
lafz ke darmiyāñ to ham bhī haiñ
shamil-e-karwan to hum bhi hain
teri jaanib rawan to hum bhi hai
ye haqiqat nahin to phir kya hai
yani wahm-o-guman to hum bhi hain
bar-e-hijrat saron pe hai apne
itne be-KHanuman to hum bhi hain
kah rahe hain KHizan zada chehre
ai bahaaro yahan to hum bhi hain
sach na mano to jhuT hi kah lo
ek ruKH-e-dastan to hum bhi hain
hum ko KHak-e-rah-e-safar mat jaan
ai zamin aasman to hum bhi hain
sirf mani ki wusaten hi nahin
lafz ke darmiyan to hum bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.