shayad abhi hai rakh mein koi sharar bhi
shāyad abhī hai raakh meñ koī sharār bhī
kyuuñ varna intizār bhī hai iztirār bhī
dhyān aa gayā thā marg-e-dil-e-nā-murād kā
milne ko mil gayā hai sukūñ bhī qarār bhī
ab DhūñDne chale ho musāfir ko dosto
had-e-nigāh tak na rahā jab ġhubār bhī
har āstāñ pe nāsiya farsā haiñ aaj vo
jo kal na kar sake the terā intizār bhī
ik raah ruk ga.ī to ThiThuk kyuuñ ga.iiñ 'adā'
ābād bastiyāñ haiñ pahāḌoñ ke paar bhī
shayad abhi hai rakh mein koi sharar bhi
kyun warna intizar bhi hai iztirar bhi
dhyan aa gaya tha marg-e-dil-e-na-murad ka
milne ko mil gaya hai sukun bhi qarar bhi
ab DhunDne chale ho musafir ko dosto
had-e-nigah tak na raha jab ghubar bhi
har aastan pe nasiya farsa hain aaj wo
jo kal na kar sake the tera intizar bhi
ek rah ruk gai to ThiThuk kyun gain 'ada'
aabaad bastiyan hain pahaDon ke par bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.