shayad aisa shaKHs hamara pura KHwab kare
shāyad aisā shaḳhs hamārā puurā ḳhvāb kare
patthar ko jo mom banā.e aahan aab kare
us bādal kī aas lagā.e baiThe haiñ sab log
dil kī khetī chhoḌ ke jo jangal sairāb kare
dariyā dariyā tūfāñ apnā kar jaatā hai kaam
sāhil zad meñ aa jaa.e to kyā girdāb kare
merī bastī meñ rahte haiñ kuchh fir.aun-sifat
us kī marzī zinda rakkhe yā ġharqāb kare
aisī bhī kyā yaad ki āñkheñ ho jaa.eñ pur-nam
aisā bhī kyā dard ki har pal dil betāb kare
us kī duurī aag lagā.e tan-man ke andar
us kā milnā sūkhe jazbe ko shādāb kare
ik zarre ko sūraj karne meñ kyā der 'zafar'
vo chāhe to saat samundar ko pāyāb kare
shayad aisa shaKHs hamara pura KHwab kare
patthar ko jo mom banae aahan aab kare
us baadal ki aas lagae baiThe hain sab log
dil ki kheti chhoD ke jo jangal sairab kare
dariya dariya tufan apna kar jata hai kaam
sahil zad mein aa jae to kya girdab kare
meri basti mein rahte hain kuchh firaun-sifat
us ki marzi zinda rakkhe ya gharqab kare
aisi bhi kya yaad ki aankhen ho jaen pur-nam
aisa bhi kya dard ki har pal dil betab kare
us ki duri aag lagae tan-man ke andar
us ka milna sukhe jazbe ko shadab kare
ek zarre ko suraj karne mein kya der 'zafar'
wo chahe to sat samundar ko payab kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.