shayad ke kare wasl hi bharpai hamari
shāyad ke kare vasl hī bharpā.ī hamārī
tanhā.ī huī jaatī hai shaidā.ī hamārī
har gaam huī is liye rusvā.ī hamārī
bū-jahl kiyā kartā thā aguvā.ī hamārī
ye ham ko buzurgoñ se virāsat meñ milī hai
tum ko nazar aatī hai jo achchhā.ī hamārī
ai jān-e-suḳhan tū jo muḳhātab na huā to
Dar hai ke chalī jaa.e na goyā.ī hamārī
kilkāriyāñ bachchoñ kī buzurgoñ kī vo phaTkār
kyā ḳhuub sajī rahtī thī añgnā.ī hamārī
kal tak to hameñ yaad bhī karne se thā parhez
ab kis liye karte ho pazīrā.ī hamārī
shayad ke kare wasl hi bharpai hamari
tanhai hui jati hai shaidai hamari
har gam hui is liye ruswai hamari
bu-jahl kiya karta tha aguwai hamari
ye hum ko buzurgon se wirasat mein mili hai
tum ko nazar aati hai jo achchhai hamari
ai jaan-e-suKHan tu jo muKHatab na hua to
Dar hai ke chali jae na goyai hamari
kilkariyan bachchon ki buzurgon ki wo phaTkar
kya KHub saji rahti thi angnai hamari
kal tak to hamein yaad bhi karne se tha parhez
ab kis liye karte ho pazirai hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.