shayad ki mumkinat mein ho mawara bhi ho
shāyad ki mumkināt meñ ho māvarā bhī ho
jo baat 'aql hī meñ nahīñ rūnumā bhī ho
iz.hār lāzmī hai salīqe ke saath saath
zauq-e-kalām hone se kyā hausla bhī ho
ham zindagī ke qutb-e-shumālī meñ haiñ miyāñ
lāzim nahīñ hayāt bhī ho irtiqā bhī ho
ye 'ishq ziist ke kisī fiction kā baab hai
kyā lāzmī hai 'ishq bhī ho vāqi'a bhī ho
maġhrib ko dosh de to rahe haiñ tabāhī kā
is dauḌ-dhūp meñ na kahīñ asia bhī ho
shayad ki mumkinat mein ho mawara bhi ho
jo baat 'aql hi mein nahin runuma bhi ho
izhaar lazmi hai saliqe ke sath sath
zauq-e-kalam hone se kya hausla bhi ho
hum zindagi ke qutb-e-shumali mein hain miyan
lazim nahin hayat bhi ho irtiqa bhi ho
ye 'ishq zist ke kisi fiction ka bab hai
kya lazmi hai 'ishq bhi ho waqi'a bhi ho
maghrib ko dosh de to rahe hain tabahi ka
is dauD-dhup mein na kahin asia bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.