shayad kisi ne aap se ye kah diya ghalat
shayad kisi ne aap se ye kah diya ghalat
Hakeem Anwar Mohammad Khan Kamil
MORE BYHakeem Anwar Mohammad Khan Kamil
shāyad kisī ne aap se ye kah diyā ġhalat
mumkin hai aap hī ne kahīñ sun liyā ġhalat
vallāh ab bhī aap kā maiñ jāñ-nisār huuñ
maiñ aur aap hī se kahūñgā bhalā ġhalat
muddat ke baad aaj nazar aa.e shukr hai
dekhā ye jab se tum ko mirā ġham huā ġhalat
ham ko nahīñ hai vāsta kuchh ishq se vale
charchā kisī ne kar diyā hai jā-ba-jā ġhalat
jaate the ghar raqīb ke par aa ga.e yahāñ
un ko batā diyā hai kisī ne patā ġhalat
ham ne sunā ki hazrat-e-'kāmil' guzar ga.e
hai aarzū ki nikle ḳhabar yā-ḳhudā ġhalat
shayad kisi ne aap se ye kah diya ghalat
mumkin hai aap hi ne kahin sun liya ghalat
wallah ab bhi aap ka main jaan-nisar hun
main aur aap hi se kahunga bhala ghalat
muddat ke baad aaj nazar aae shukr hai
dekha ye jab se tum ko mera gham hua ghalat
hum ko nahin hai wasta kuchh ishq se wale
charcha kisi ne kar diya hai ja-ba-ja ghalat
jate the ghar raqib ke par aa gae yahan
un ko bata diya hai kisi ne pata ghalat
hum ne suna ki hazrat-e-'kaamil' guzar gae
hai aarzu ki nikle KHabar ya-KHuda ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.