shayad koi nigah kare meri zat par
shāyad koī nigāh kare merī zaat par
dastak to de rahā huuñ dar-e-kā.enāt par
dushman se kah rahā huuñ tirī anjuman kā raaz
yā phuul rakh rahā huuñ maiñ sho.ale ke haat par
apnā bhī qatl ham ne ka.ī Dhañg se kiyā
ab koī chauñktā hī nahīñ hādsāt par
behoshiyoñ ko niiñd se nisbat zarūr hai
kuchh ḳhaar bhī bichhā le ridā-e-hayāt par
ai 'nūr' vo to hukm-e-sazā de ke chal diyā
lafzoñ kā saarā ḳhuun rahā merī zaat par
shayad koi nigah kare meri zat par
dastak to de raha hun dar-e-kaenat par
dushman se kah raha hun teri anjuman ka raaz
ya phul rakh raha hun main shoale ke hat par
apna bhi qatl hum ne kai Dhang se kiya
ab koi chaunkta hi nahin hadsat par
behoshiyon ko nind se nisbat zarur hai
kuchh KHar bhi bichha le rida-e-hayat par
ai 'nur' wo to hukm-e-saza de ke chal diya
lafzon ka sara KHun raha meri zat par
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 440)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.