shayad ruKH-e-hayat se sarke naqab aur
shāyad ruḳh-e-hayāt se sarke naqāb aur
bhar do mire subū meñ sharāb-e-gulāb aur
hogī mire subū se numūd-e-hazār-sub.h
ubhreñge is ufuq se abhī āftāb aur
aatī hai kū-e-dār-o-rasan se sadā hanūz
aa.e idhar jo hai koī ḳhāna-ḳharāb aur
maḳhmūr-e-bū-e-zulf na ā.eñge hosh meñ
chhiḌke abhī nasīm-e-bahārāñ gulāb aur
ai vārisān-e-satvat-parvez hoshiyār
dāmān-e-vaqt meñ haiñ abhī inqalāb aur
aa.ī 'zafar' jo raat zabāñ par hadīs-e-dost
nāgāh baḌh ga.ī mire jauhar kī aab aur
shayad ruKH-e-hayat se sarke naqab aur
bhar do mere subu mein sharab-e-gulab aur
hogi mere subu se numud-e-hazar-subh
ubhrenge is ufuq se abhi aaftab aur
aati hai ku-e-dar-o-rasan se sada hanuz
aae idhar jo hai koi KHana-KHarab aur
maKHmur-e-bu-e-zulf na aaenge hosh mein
chhiDke abhi nasim-e-bahaaran gulab aur
ai warisan-e-satwat-parwez hoshiyar
daman-e-waqt mein hain abhi inqalab aur
aai 'zafar' jo raat zaban par hadis-e-dost
nagah baDh gai mere jauhar ki aab aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.