shayad tujhse milne ki gunjaish hai
shāyad tujh se milne kī gunjā.ish hai
sannāTā hai ḳhāmoshī hai bārish hai
merī āñkheñ ḳhvāb tire hī dekheñgī
in meñ begāne ḳhvāboñ kī bandish hai
ab jā kar ke dil ko ye ehsās huā
terā pyaar bhī pyaar nahīñ ik sāzish hai
tujh ko dekh ke aisā kyuuñ mahsūs huā
ḳhush hai tū yā ḳhush hone kī koshish hai
rishtoñ kī qabroñ par miTTī mat Daalo
in meñ ab bhī sāñsoñ kī gunjā.ish hai
shayad tujh se milne ki gunjaish hai
sannaTa hai KHamoshi hai barish hai
meri aankhen KHwab tere hi dekhengi
in mein begane KHwabon ki bandish hai
ab ja kar ke dil ko ye ehsas hua
tera pyar bhi pyar nahin ek sazish hai
tujh ko dekh ke aisa kyun mahsus hua
KHush hai tu ya KHush hone ki koshish hai
rishton ki qabron par miTTi mat Dalo
in mein ab bhi sanson ki gunjaish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.