shayad tujhe sukun mile dekh kar to dekh
shāyad tujhe sukūn mile dekh kar to dekh
ham ḳhatm ho rahe haiñ hameñ ik nazar to dekh
manzil nazar meñ hai na koī ham-safar hai saath
nākām-e-ārzū kā ye zauq-e-safar to dekh
siine meñ iztirāb laboñ par hañsī liye
mar-mar ke jī rahe haiñ hamārā hunar to dekh
ye kyā ki chhoḌ dī yūñhī taḳhlīq kar ke bas
kuchh aur chāhtī hai ye duniyā idhar to dekh
ḳhud husn bhī hai ishq kī barbādī par nisār
dekhā nahīñ hai sham.a ko bujhte agar to dekh
shayad tujhe sukun mile dekh kar to dekh
hum KHatm ho rahe hain hamein ek nazar to dekh
manzil nazar mein hai na koi ham-safar hai sath
nakaam-e-arzu ka ye zauq-e-safar to dekh
sine mein iztirab labon par hansi liye
mar-mar ke ji rahe hain hamara hunar to dekh
ye kya ki chhoD di yunhi taKHliq kar ke bas
kuchh aur chahti hai ye duniya idhar to dekh
KHud husn bhi hai ishq ki barbaadi par nisar
dekha nahin hai shama ko bujhte agar to dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.