shayad wo paDh sakenge na likkha hua tamam
shāyad vo paḌh sakeñge na likkhā huā tamām
ḳhat merā āñsuon meñ hai bhīgā huā tamām
rūdād-e-dard-e-ishq sunāne chalā thā maiñ
tum se milī nigāh to qissa huā tamām
dil merā hasratoñ kī hai duniyā liye hue
āñkhoñ meñ sail-e-ashk hai Thahrā huā tamām
ūñchī 'imārateñ haiñ magar pasta-qad haiñ log
ye terā shahr merā hai dekhā huā tamām
tevar kuchh ab ke aur haiñ fasl-e-bahār ke
ġhuncha koī khilā bhī to bikhrā huā tamām
ab ye chaman bhī dosto kuchh ġhair sā lage
har chand apne ḳhuuñ se hai sīñchā huā tamām
in mah-ruḳhoñ ke 'ishq meñ 'afsar' mirā kalām
aatā hai bām-e-arsh se nikhrā huā tamām
shayad wo paDh sakenge na likkha hua tamam
KHat mera aansuon mein hai bhiga hua tamam
rudad-e-dard-e-ishq sunane chala tha main
tum se mili nigah to qissa hua tamam
dil mera hasraton ki hai duniya liye hue
aankhon mein sail-e-ashk hai Thahra hua tamam
unchi 'imaraten hain magar pasta-qad hain log
ye tera shahr mera hai dekha hua tamam
tewar kuchh ab ke aur hain fasl-e-bahaar ke
ghuncha koi khila bhi to bikhra hua tamam
ab ye chaman bhi dosto kuchh ghair sa lage
har chand apne KHun se hai sincha hua tamam
in mah-ruKHon ke 'ishq mein 'afsar' mera kalam
aata hai baam-e-arsh se nikhra hua tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.