shab bhar rawan rahi gul-e-mahtab ki mahak
shab bhar ravāñ rahī gul-e-mahtāb kī mahak
pau phūTte hī ḳhushk huā chashma-e-falak
mauj-e-havā se kaañp gayā ruuh kā charāġh
sail-e-sadā meñ Duub ga.ī yaad kī dhanak
phir jā rukegī bujhte ḳharāboñ ke des meñ
suunī sulagtī sochtī sunsān sī saḌak
ruḳh pher kar jo abr-e-shabāna meñ chhup gayā
jī meñ phirā karegī usī chāñd kī chamak
phir pichhle pahar ā.ina-e-ashk meñ 'zafar'
larzāñ rahī vo sāñvlī sūrat saver tak
shab bhar rawan rahi gul-e-mahtab ki mahak
pau phuTte hi KHushk hua chashma-e-falak
mauj-e-hawa se kanp gaya ruh ka charagh
sail-e-sada mein Dub gai yaad ki dhanak
phir ja rukegi bujhte KHarabon ke des mein
suni sulagti sochti sunsan si saDak
ruKH pher kar jo abr-e-shabana mein chhup gaya
ji mein phira karegi usi chand ki chamak
phir pichhle pahar aaina-e-ashk mein 'zafar'
larzan rahi wo sanwli surat sawer tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.