shab-bhar tasawwuraat ka mela laga raha
shab-bhar tasavvurāt kā mela lagā rahā
sab so ga.e to ghar meñ mire ratjagā rahā
kal un laboñ pe yuuñ mirā zikr-e-vafā rahā
vijdān jhūmtā rahā vo boltā rahā
barsoñ yahī mizāj-e-siyāsat banā rahā
mujrim kī tarah shahr meñ har be-ḳhatā rahā
ghar se nikal ke band galī meñ pahuñch ga.e
manzil milī na ghar kā koī rāstā rahā
maiñ chup na rah sakā lab-e-tasvīr kī tarah
maiñ aa.ina thā aa.ina sach boltā rahā
ayyārī-e-ḳhirad kā fusūñ kaam kar gayā
ahl-e-junūñ kī aql pe parda paḌā rahā
allah re be-shu.ūrī-e-dānish ki umr bhar
vo mere saath thā maiñ use DhūñDhtā rahā
koshish ke bāvajūd chhupā.e na chhup sakā
har qahqahe ke lahja meñ ġham boltā rahā
maiñ 'zabt' sang-e-mīl samajhtā rahā jise
vo shaḳhs merī raah kā patthar banā rahā
shab-bhar tasawwuraat ka mela laga raha
sab so gae to ghar mein mere ratjaga raha
kal un labon pe yun mera zikr-e-wafa raha
wijdan jhumta raha wo bolta raha
barson yahi mizaj-e-siyasat bana raha
mujrim ki tarah shahr mein har be-KHata raha
ghar se nikal ke band gali mein pahunch gae
manzil mili na ghar ka koi rasta raha
main chup na rah saka lab-e-taswir ki tarah
main aaina tha aaina sach bolta raha
ayyari-e-KHirad ka fusun kaam kar gaya
ahl-e-junun ki aql pe parda paDa raha
allah re be-shuuri-e-danish ki umr bhar
wo mere sath tha main use DhunDhta raha
koshish ke bawajud chhupae na chhup saka
har qahqahe ke lahja mein gham bolta raha
main 'zabt' sang-e-mil samajhta raha jise
wo shaKHs meri rah ka patthar bana raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.