shab-e-ahd-e-gul mein baqi hain abhi ranaiyan
shab-e-ahd-e-gul meñ baaqī haiñ abhī ra.anā.iyāñ
tairtī haiñ ġham kī gahrā.ī meñ kuchh parchhā.iyāñ
der tak tanhā khaḌā dekhā kiyā us moḌ par
jā chukī thiiñ jis taraf bajtī huī shahnā.iyāñ
saḳhtī-e-daur-e-ḳhizāñ ko chaar din biite nahīñ
phir vahī bulbul ke naġhme phir chaman-ārā.iyāñ
ḳhud se bhī ḳhalvat meñ milne ko taras jaatā huuñ maiñ
lipTī rahtī haiñ hamesha yuuñ mirī parchhā.iyāñ
'nūr' be-pāyāñ ḳhalā meñ Dūbtī hai jab nazar
aur baḌh jaatī haiñ merī raat kī tanhā.iyāñ
shab-e-ahd-e-gul mein baqi hain abhi ranaiyan
tairti hain gham ki gahrai mein kuchh parchhaiyan
der tak tanha khaDa dekha kiya us moD par
ja chuki thin jis taraf bajti hui shahnaiyan
saKHti-e-daur-e-KHizan ko chaar din bite nahin
phir wahi bulbul ke naghme phir chaman-araiyan
KHud se bhi KHalwat mein milne ko taras jata hun main
lipTi rahti hain hamesha yun meri parchhaiyan
'nur' be-payan KHala mein Dubti hai jab nazar
aur baDh jati hain meri raat ki tanhaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.