shab-e-firaq hai aur hum bhi gham ke mare hain
shab-e-firāq hai aur ham bhī ġham ke maare haiñ
tumhāre ḳhvāb hī tanhā.ī ke sahāre haiñ
har ik ḳhayāl mirā āñsuoñ meñ Dhaltā hai
ye gesū phir bhī tirī yaad meñ sañvāre haiñ
vo duur rah ke bhī sāñsoñ se bhī qarīb rahe
bahut 'ajīb hai ab tak vo ham ko pyāre haiñ
hayāt ab to yahī sochtī guzartī hai
tumhārī tarah se kyā ham bhī tum ko pyāre haiñ
maiñ un ko bhūlnā chāhūñ to kis tarah bhūlūñ
mire nasīb ke TuuTe hue sitāre haiñ
gila nahīñ hai kisī se jafā kā phir bhī 'ġhazal'
koī batā.e to kyā ab bhī vo hamāre haiñ
shab-e-firaq hai aur hum bhi gham ke mare hain
tumhaare KHwab hi tanhai ke sahaare hain
har ek KHayal mera aansuon mein Dhalta hai
ye gesu phir bhi teri yaad mein sanware hain
wo dur rah ke bhi sanson se bhi qarib rahe
bahut 'ajib hai ab tak wo hum ko pyare hain
hayat ab to yahi sochti guzarti hai
tumhaari tarah se kya hum bhi tum ko pyare hain
main un ko bhulna chahun to kis tarah bhulun
mere nasib ke TuTe hue sitare hain
gila nahin hai kisi se jafa ka phir bhi 'ghazal'
koi batae to kya ab bhi wo hamare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.