shab-e-firaq hamara wo nim-jaan hona
shab-e-firāq hamārā vo nīm-jāñ honā
ajal kā aap hī ghar meñ vo mehmāñ honā
ḳhafā na sun ke mirā haal mehrbāñ honā
ki is bayān ko ik din hai dāstāñ honā
dayār-e-husn kī sar-garmiyāñ ma.āz-allāh
har ik qadam pe mohabbat kā imtihāñ honā
koī sitam ho yahīñ se shurūa hotā hai
ġhazab hai kūcha-e-jānāñ kā āsmāñ honā
ajal se pahle sabā le uḌī sar-e-manzil
kahāñ pe aayā hai kaam apnā nā-tavāñ honā
uThā vo dard kaleje meñ vo gire aañsū
nahīñ hai khel mohabbat kā rāz-dāñ honā
nigāh-e-qahr kabhī aur kabhī karam kī nazar
inhīñ adāoñ kā mil-jul ke dāstāñ honā
vo kyā kare na miTe gar tirī mohabbat meñ
likhā ho jis ke muqaddar meñ be-nishāñ honā
abhī na shaad ho takmīl-e-ishq par 'afqar'
abhī hai tark-e-mohabbat kā imtihāñ honā
shab-e-firaq hamara wo nim-jaan hona
ajal ka aap hi ghar mein wo mehman hona
KHafa na sun ke mera haal mehrban hona
ki is bayan ko ek din hai dastan hona
dayar-e-husn ki sar-garmiyan maaz-allah
har ek qadam pe mohabbat ka imtihan hona
koi sitam ho yahin se shurua hota hai
ghazab hai kucha-e-jaanan ka aasman hona
ajal se pahle saba le uDi sar-e-manzil
kahan pe aaya hai kaam apna na-tawan hona
uTha wo dard kaleje mein wo gire aansu
nahin hai khel mohabbat ka raaz-dan hona
nigah-e-qahr kabhi aur kabhi karam ki nazar
inhin adaon ka mil-jul ke dastan hona
wo kya kare na miTe gar teri mohabbat mein
likha ho jis ke muqaddar mein be-nishan hona
abhi na shad ho takmil-e-ishq par 'afqar'
abhi hai tark-e-mohabbat ka imtihan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.