shab-e-firaq jo guzri bayan nahin karte
shab-e-firaq jo guzri bayan nahin karte
Saeed Ahmad Saeed Kadwi
MORE BYSaeed Ahmad Saeed Kadwi
shab-e-firāq jo guzrī bayāñ nahīñ karte
parā.ī baat hai us ko ayaañ nahīñ karte
hamesha zikr-e-bahārāñ laboñ pe rahtā hai
ḳhizāñ kī baat kabhī bāġhbāñ nahīñ karte
haiñ aise log jo mar jaate haiñ vafā ke liye
vafā-parastī ko lekin bayāñ nahīñ karte
ḳhamīr meñ mire shāmil hai ḳhāksārī 'sa.īd'
kabhī zamīn ko ham āsmāñ nahīñ karte
shab-e-firaq jo guzri bayan nahin karte
parai baat hai us ko ayan nahin karte
hamesha zikr-e-bahaaran labon pe rahta hai
KHizan ki baat kabhi baghban nahin karte
hain aise log jo mar jate hain wafa ke liye
wafa-parasti ko lekin bayan nahin karte
KHamir mein mere shamil hai KHaksari 'said'
kabhi zamin ko hum aasman nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.