shab-e-firaq ko yun jagmaga raha hun main
shab-e-firaq ko yun jagmaga raha hun main
Jagjeewan Lal Asthana sahar
MORE BYJagjeewan Lal Asthana sahar
shab-e-firāq ko yuuñ jagmagā rahā huuñ maiñ
bujhā ke sham' ko ab dil jalā rahā huuñ
ḳhayāl-e-yār ko dil meñ basā rahā huuñ maiñ
tasavvurāt kī duniyā sajā rahā huuñ maiñ
ġham-e-hayāt ġham-e-dil kā lutf paane ko
ajal ke haath se dāman chhuḌā rahā huuñ maiñ
'ajīb haal hai shāḳhoñ se phuul jhaḌte haiñ
bharī bahār meñ aañsū bahā rahā huuñ maiñ
ye raaz faash na ho jaa.e āñsuoñ se kahīñ
tumhāre ġham ko tumhīñ se chhupā rahā huuñ maiñ
na lab pe koī shikāyat na dil hai fariyādī
tumhārī bazm se ḳhāmosh jā rahā huuñ maiñ
uThāo saaz milāo diloñ ke tāroñ ko
na.ī hayāt ke naġhme sunā rahā huuñ maiñ
visāl-o-hijr kā 'ālam 'ajīb 'ālam hai
fasāna shab kā 'sahar' ko sunā huuñ maiñ
shab-e-firaq ko yun jagmaga raha hun main
bujha ke sham' ko ab dil jala raha hun
KHayal-e-yar ko dil mein basa raha hun main
tasawwuraat ki duniya saja raha hun main
gham-e-hayat gham-e-dil ka lutf pane ko
ajal ke hath se daman chhuDa raha hun main
'ajib haal hai shaKHon se phul jhaDte hain
bhari bahaar mein aansu baha raha hun main
ye raaz fash na ho jae aansuon se kahin
tumhaare gham ko tumhin se chhupa raha hun main
na lab pe koi shikayat na dil hai fariyaadi
tumhaari bazm se KHamosh ja raha hun main
uThao saz milao dilon ke taron ko
nai hayat ke naghme suna raha hun main
visal-o-hijr ka 'alam 'ajib 'alam hai
fasana shab ka 'sahar' ko suna hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.